Dil Aaj Shair Hai Gam Aaaj Nagma Hai
Shab Yeh Gajal Hai Sanam
Gairon Ke Sheron Ko Voh Sune Wale
Ho Istaraf Bhi Karam
Aake Zara Dekh Lo Tere Khatir
Ham Kis Tarah Se Jiye
Aason Ke Dhaage Se Seete Rahe Ham
Jo Zakham Tune Diye
Chahat Ke Mehfil Mein Gam Tera Lekar
Kismat Se Khela Juva
Duniya Se Jeete Par Tujh Se Haare
Yun Khel Apna Huva
Dil Aaj Shair Hai Gam Aaaj Nagma Hai
Shab Yeh Gajal Hai Sanam
Gairon Ke Sheron Ko Voh Sune Wale
Ho Istaraf Bhi Karam
Hai pyaar humne kiya jis tarah se uska na koi jawab
Hai pyaar humne kiya jis tarah se uska na koi jawab
Zarra thay lekin teri lau mein jalkar hum ban gaye aaftaab
Hum se hai zinda wafa aur humhi se hai teri mehfil jawan
Hum jab na honge to ro ro ke
duniya dhundhegi mere nishan
Ye pyaar koi khilauna nahin hai har koi le jo kharid
Ye pyaar koi khilauna nahin hai har koi le jo kharid
Meri tarah zindagi bhar tadap lo phir aana uske karib
Hum to musafir hain koi safar
ho hum to guzar jayenge hi
Lekin lagaya hai jo danw humne woh jeetkar aayenge hi
Woh jeetkar aayenge hi
Woh jeetkar aayenge hi